jab gumbad-e-khazra ke anwaar nazar aye
anwaar ke jhurmat mein sarkar nazar aye 
taiba ke tasawwur ne jeene ka maza bakhsha
main kaise kahoon jeena dushwaar nazar aye 
naghmat daroodon ke honton pe hue jaari
jab shehr-e-muhabbat ke aasar nazar aye 
makke se madine tak mehdood nahi jalwe
ushaak ko har janib sarkar nazar aye 
aankhein meri roshan ho jayein jigar thanda
jis waqt mujhe mera manthar nazar aye