Madine paak vich mera wi ghar honda tey thand pain di Dare sarkar tey mera wi sarr honda tey thand pain d Main harr dam wekhda rehnda rasule paak da roza Main harr dam Aap di peshe nazar honda tey thand paindi Jadon wi chahnda mein sohne de qadman vich chala jana Duavan meriyan vich kuch asar honda tey thand paindi Qasam Rab di Madine dey nazare wadd ne jannat ton Jidhar rehnda main thand paindi udhar rehnda tey thand paindi Durudan tey dalaman di asi mehfil saja ne han Kadi sarkar da ethon guzar honda tey thand paindi.
Khuda ki nazron mein rehta Mere sarkar ka chehra Voh Noor e haq ka hai jalwa Mere sarkar ka chehra Yahi hai rashk e mehruma Yehi to hai shahe khuban Hasinon se hasin chehra Mere sarkar ka chehra Hue ummat mein voh a’la Sahaba ban gaye voh to Jinhon ne ankhon se dekha Mere Sarkar ka chehra Bhala chehre ko kya dekhun Harr ik tashbeeh se ba ala Mere sarkar ka chehra Qasam hai husne yusuf ki Jahan bhar mein nahi koi Misal aisi jawab aisa Mere sarkar ka chehra Bilal e habshi kaba ki Chat per rukh kahan karte Azan dene ka ab qibla Mere sarkar ka chehra Nakeeron ne jo pucha Qabr mein yeh kis ka jalwa hai Ujagar jhoom kar bola Mere Sarkar ka chehra
Baat kar Madine ki Zikr kar Madine ka Ik yehi Sahara hai is jahan mein jiine ka Voh Tujhe bachaenge Paar bhi lagaenge Un pey chor dey kashti Ghum na kar safine ka Kiun bhatakta phirta hai Puch apne murshid se Voh bataen ge tujhko Raasta Madine ka Aap ke qadam jab se Aye hain Madine mein Zarra zarra roshan hai Aaj bhi Madine ka Ey Aleem chal tu bhi Rah ley Madine ki Bas vahin se milta hai Raaz harr khazine ka —- Yaad e mustafa aisi Mushk mein na ambar mein Aur na gule tarr mein Hum ne jo mehak payi aap ke Pasine mein Kon si jagah unke Fikr kya talatum ka khof kya hai tufan ka Naam e Mustafa likh kar Daal dey Safine mein
hai itni shadeed ab to tamanna e Madina har sans se aati hai sada haaye Madina raiyan jaandeyan shehr madine nun sarkar deya mehmano lae pegham mera wi jawin nale hanjuan da nazrana aakhin har sans se aati hai sada haaye Madina ae baad e saba pegham mora sultan e Madina ko dijo ke har sans se aati hai sada haaye Madina bimaar ko ghaflat hai behosh si taari hai aur har saans se aati hai sada haaye Madina kadi ave ga din ya rab jadon bat-ha nun jawan main kadi tehran main makke wich madina ghar banawan main na khwahish khuld di dil wich na hooran di talab mainu eho kaafi ae jannat tere kuche nun banawan main Madine waleya main nun wikha rasta adine da bana ke pair akhiyan nun te sir de bhaar aawan main har saans se aati hai sada haaye Madina Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) mere Aqa...
taron mein roshni mere Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) se hai chanda mein chandi mere Nabi se hai kaliyon mein tazgi mere Nabi se hai phulon mein dilkashi mere Nabi se hai roshan jahan tha kal bhi huzoor se yeh noor aaj bhi mere Nabi se hai rangeen yeh jahan tha kal bhi huzoor se jannat ka husn bhi mere Nabi se hai chumein na kyon qadam kaba bhi shauk se nisbat Bilal ki mere Nabi se hai woh jo na hon to kuch bhi na ho jahan mein dunya mein zindagi mere Nabi se hai farooq kyoun kahon main khud to kuch nahi izzat hai jo meri mere Nabi se hai
Zulf e sarkar se jab chehre nikalta hoga Phir bala kaise koi chand ko takta hoga Maa haleema yeh bata tune to dekha hoga Kaise mehboob mera tujhse lipattha hoga Jab kabhi Aap andhere mein nikalte honge. Shabb-e-tariqi mein khusheed chamakta hoga. Kisko maloom nahin taiba se judaai ka assar Ke shaam ko shams bhi rota hua dhaltha hoga Kaabil e rashk hai siddique wo aansoo tera Ghaar mein aap ke rukh par jo tapakta hoga Aur haakim uss dil ko to bas tes na pohnchegi kabhi Yaad e sarkar mein har pal jo dhadakta hoga Raaz chanda ke haseen hone ka ab main samjha Ke khaak e nalain ko chehre pe wo malta hoga
Ya Mustafa ataa ho phir izn haazri ka Karloon nazaara aakar phir aap ki gali ka Ik baar phir dekhaado Ramzaan mein Madina Beshak banalo Aaqa mehmaan do ghari ka Rota huwa phiraa-oon daaghe jigar dekhaa-oon Afsana bhi sunaa-oon main apni be-kasi ka Phir sabz, sabz gumbad ki dekhloon bahaarein Ab izn dedo Aaqa phir mujhko haazri ka Ya Mustafa gunaahon ki aadate nikal jaa-en Jazbah mujhe ata ho sunnat ki payrwi ka Allah hubbe duniya se tu mujhe bachana Saa-il hoon Ya Khuda main Ishqe Muhammadi ka Imaan pe Rabbe rahmat dede tu istiqamat Dede hoon waasta main tujhko tere Nabi ka Ulfat ki bheek dedo deta hoon waasta main Siddeeq ka, Umar ka, Usmaan ka, Ali ka Duniya ke taajdaaron tumse mujhe gharaz kiya Mangta hoon main tu mangta Sarkaar ki gali ka Meezaan pe sab khare hain aamaal tul rahe hain...
Tala al-Badru ‘alayna min thani aatil wada wajaba sh-shukru ‘alayna mada aa lil lahi da’a’i Ya Nabi salam ‘alayka Ya Rasul salam ‘alayka Ya Habib salam ‘alayka salawatuLlah ‘alayka Aap ka tashreef lana waqt bhi kitna suhana jagma utha zamana poore gaatihi tarana Ya Nabi salam ‘alayka Ya Rasul salam ‘alayka Ya Habib salam ‘alayka salawatu Llah ‘alayka Katra katra darya darya dharra dharra tara tara jab hua Sarkar paida Sara aalam kah raha tha Ya Nabi salam ‘alayka Ya Rasul salam ‘alayka Ya Habib salam ‘alayka salawatu Llah ‘alayka Itna karam shahe zaman ho khali rooh se badan ho Aap ke shahr ka kafan aur Madine mein dafan ho Ya Nabi salam ‘alayka Ya Rasul salam ‘alayka Ya Habib salam ...
sarkar ke hum deewane hain sarkar ke hum kehlate hain sarkar ka sadqa peete hain sarkar ka saqda khate hain jab mauj mein woh aa jate hain bigdhi sab ki ban jati hai jab un ka karam ho jata hai bin mangton ke phir hi jate hain yeh un ki nigahein rahmat hain yeh maal-o-zar ki baat nahin bas wohi madine jaate hain sarkar jinhein bulwate hain kya khoob suhana mausam tha jibril manadi karte the tashreef Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) latein hain tashreef Muhammad latein hain lajpaal madine wale ke andaaz sakhawat kya kehna dunya ke shahanshah is dar par ban ban ke bhikari aate hain
Meri ulfat Madine se youn hi nahi Mere aaqa ka rouza Madine mein hai Mein Madine ki jaanib na kaise khinchu mera deen aur dunya madine mein hai arsh e azam se jis ki barri shaan hai roza e mustafa jis ki pehchaan hai jis ka humpalla koi muhalla nahi eik aisa muhalla Madine mein hai phir mujhe maut ka koi khatra na ho maut kya zindagi ki bhi parwa na ho kaash sarkar eik baar mujh se kahein ab tera marna jeena Madine mein hai Sarware do jahaa se dua hai meri Han bado chashmey tar ilteja hai meri Un ki feh-rist mein mera bhi naam ho Jinn ka roz ana jaana Madine mein hai jab nazar sue taiba rawana hui saath dil bhi gaya saath jaan bhi gai main muneer ab rahoon ga yahan kis liye mera saara asasa Madine mein hai … “lam yaati nazeero kafi nazarin”
Main so jaoun Ya Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kehtey kehtey Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey Sitam pay Sitam seh gaey dushmano kay Habeeb-e-Khuda, Ya Khuda kehtey kehtey Main so jaoun Ya Mustafa kehtey kehtey Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey Guzarte thay kaantey bharrey raasto say Rasul-e-Khuda, Marhaba kehtey kehte Main so jaoun Ya Mustafa kehtey kehtey Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey Huwey surkhuru Aap her maarkey may Faqat Rabbana, Rabbana kehtey kehtey Main so jaoun Ya Mustafa kehtey kehtey Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey Shahe her do Aalam ne naam-e-jabee say Bhara paet shukrey Khuda kehtey kehtey Main so jaoun Ya Mustafa kehtey kehtey Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey Andheiroo may ham ne kiya hay ujaala Aqeedat sey Noor-ul-Huda kehtey ...
Saare jag nalo lagdiyaan changiya Madine diyaan paak galiyan Raayan mehek jeevey, jannat diyaan kaliyaan Madiney diya paak galiyaan Saaaarey jag nalo lagdiyaan changiya Madiney diyan paak galiyaan Ena galiyaan tho tanman vaariye, Kariye sajdey, te shukar guzariye Ethe noor diyaan suchiyaan ne thaliyaan Madiney diyan paak galiyaan Saarey… Ena Galiyaanch raya sona pirda sanu vekhne da chaa bar chirda Ethey lagiyaan mere Nabi diyan taliyaan Madiney diyaan paak galiyaan Saarey…. Abrey rehmatan de sada othey vasdey Jaandey rondey te aandey ne hasdey Ral vekhne nu saayan ne chaliyaan Madiney diyaan paak galiyaan Sare.. Ena galiyaan nu jerey vekhandey othey Jannata nu hain pool jaandey Tar geyn jinna ne tak layan Madiney diyaan paak galiyaan Tar geyn jinna ne tak layan Madiney diyaan paak galiyaa...