sarkar ke hum deewane hain
sarkar ke hum kehlate hain
sarkar ka sadqa peete hain
sarkar ka saqda khate hain
jab mauj mein woh aa jate hain
bigdhi sab ki ban jati hai
jab un ka karam ho jata hai
bin mangton ke phir hi jate hain
yeh un ki nigahein rahmat hain
yeh maal-o-zar ki baat nahin
bas wohi madine jaate hain
sarkar jinhein bulwate hain
kya khoob suhana mausam tha
jibril manadi karte the
tashreef Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) latein hain
tashreef Muhammad latein hain
lajpaal madine wale ke
andaaz sakhawat kya kehna
dunya ke shahanshah is dar par
ban ban ke bhikari aate hain