Urdu

Muhammad jo ro ker duwa maangtay hain

MUHAMMAD (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jo ro ker duwa maangtay hain KHUDA say KHUDA  jaane kya maangtay hain KHUDA  jaanay kya shay, jiss ko KHUDA ko Wo sajday may sar ko jhuka maangtay hain Kabhi baith ker iltaja ker rahey hain Kabhi haath uunchay utha maangtay hain Ilaahi  karam kar day Ummat pay Maire Wo kya aur iss kay siwa maangtay hain Yay wo der hay jiss der pay Khairaat aa ker Gada tou gada, Ambiyaa maangtay hain Yahaa milti hay deen-o-duniya ki raahat Issi der pay Shaah-o-gada maangtay hain Madinay main ay Nuur bulawaey Hazrat Dua hum yay subh-o-masa maangtay hain MUHAMMAD (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jo ro ker duwa maangtay hain KHUDA say KHUDA  jaane kya maangtay hain  

Jitna Mere Khuda Ko Hai Mera Nabi Aziz

jitna mere khuda ko hai mera Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aziz konain me kisi ko naho ga aziz kiyu jaye hum kahi ke ghani tum ne kar diya ab to ye dar pasand ye ghar ye gali aziz jo kuch teri riza hai khuda ki wahi khushi jo kuch teri kushi hai khuda ko wahi aziz khak-e-madina par Allah mout de wo murda dil hai jisko na ho zindagi aziz shan-e-karam ko ache bure se gharaz nahi use sabhi pasand hai use sabhi aziz mangta ka haat utha to Madina hi ki taraf tera hi dar pasand teri hi gali aziz konain de diye hai tere iqteyaar me Allah ko bhi kitni hai qatir teri aziz mahshar me do jaha ko khuda ki khushi ki chah mere huzoor ki hai khuda ko hai khushi aziz Quraan kha raha hai usi haat ki qasam hum kon hai khuda ko hai teri gali aziz Taiba ke hote khuld-e-bari kiya karu HASSAN mujh ...

Jaldi Ham Aazmi-E-Gulzar-E-Madina Honge

jaldi ham aazmi-e-gulzar-e-madina honge aazmi-e-dargah-e-sarkar-e-madina honge ab to noorani chaman zaar-e-madina honge samne ab mere kohsar-e-madina honge sabz gumbad ki waha khub bahare hongi rubaru phir mere minar-e-madina honge wajd aajaiga khismat ko bhi us dam walla samne jab mere Sarkar-e-madina (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) honge unki rahmat se jo miljai baqi-e-markhad bil haqeeqat qabr me anwar-e-madina honge hashr ka qouf na rakho aae ghulam-e-nabi apne haami waha sarkar-e-madina honge unko haasil mere aqa ki shafaat hogi jo koi hazir-e-darbar-e-madina honge mere sarkar ka aaiga bulawa unko jo koi dil se talab gaar-e-madina honge hashar me jainge ATTAR yu inshallah apni darhi me saje haar-e-madina honge  

Jashne Nabi Se Pyar Hai

Mubarak ho Muhammad Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) tashreef lei aye Abbhie Jibreal utre bhi na the Ka’abe ke mimbar se Ke itne mein sada ayi ye Abdullah ke ghar se Jashne Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) se pyar hai Hamme Jashne Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) se pyar hai Aamad hai mebhoob-e-Khuda ki Sab ka bera paar hai Tahashar sada gunje ghi youn sale ala ke tarane Aate hai Horu Malaik aamad ka jashane manane Seine pei tasveere Madina Rab pei darood kaha hai Mitha hai naam-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) mithi hai in ki boli Deedar-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) karne aye Nabiyoun ki toli Aalaane Khuda khud karta hai ye mera shahkaar hai Jab Rehmat ban kar aya wo Amina Bi ka pyara Hai donno jahan mein chamka wo...

Jo Shehr-E-Nabi May Jaey Ga

Jo Shehr-e-Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) may jaey ga Wo waapis kaisey aaey ga Jab bichray gaa mar jaey ga Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr.. Dukhiyoo ka ghamkhaar wohi hay Aalam ka mukhtaar wohi hay Hay har aik baat kareenay may Aik dard rahey ga seenay may Hay jis ki jaan Madine may Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr.. Ruumi Habshi, Misri shaami Ho jaawey Maula na jaa we koi khaaki hay ya nuuri hay kab us ko gawaara duuri hay Har aashiq ki majbuuri hay Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr.. Sab ki aankein baras rahi hain Sab ki nazrein taras rahi hain Jo aap ka sag kehlaata hay Jo aap kay tukray khaata hay Jo dekh kay taiba ata hay Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr Madina bhulna n...

Jagaa Do Meri Qismat Bhi

Jagaa do meri qismat bhi khudara Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Dikhado mujh ko rozah ka nazarah Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Meri duniya sanwar jaey meri ‘uqba sadhar jaey Agar ho jaey Rahmat ka isharah Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Tumahara naam-e-naami hai sukoon-e-qalb ka ba’is Nazar ka noor hai rozah tumhara Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Zamanah choot jaey ruth jaey khalq to kya gham Na choote haath sey daman tumharah Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Jabeen-e-showq mas hoti hai jab rowzah ki jaali sey Chamak jata hai qismat ka sitarah Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Tamana-e-Sikandar hai dam-e-aakhar Shah-e-Bat-ha Rahey wird-e-zuban kalmah tumhara ...

Jab Masjid E Nabawi Kay

Jab Masjid e Nabawi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kay miinaar nazar aa-ay Allah ki rahmat kay aasaar nazar aa-ay Manzar ho bayaan kesay alfaaz nahiin miltay Jiss waqt Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka darbaar nazar aa-ay Bas yaad raha itna siinay say lagi jaali Phir yaad nahiin kya kya anwaar nazar aa-ay Dukh dard kay maaron ko gham yaad nahiin rehtay Jab saamnay aankhon kay gham-khuar nazar aa-ay Makkay ki fiza-on mayn teba ki hawa-on mayn Ham nay to jidhar daykha sarkaar nazar aa-ay Chhorr aaya zahoori meyn dil o jaan madinay mayn Ab jiina yahaan mujh ko dushwaar nazar aa-ay  

Jis Taraf Chash’me Muhammad Ke Ishaare Ho Gaye

Jis Taraf Chash’me Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ke Ishaare Ho Gaye Jitne Zarre Saamne Aaey, Sitaare Ho Gaye Ya Muhammad Aap Ki Nazaro(N) Ka Yeh Ijaaz Hai Jis Taraf Nazarei(N) Uthi(N), Sab Tumhaare Ho Gaye May(N) Hoo(N) Aur Yaadei(N) Madinah Aur Hai Tanhaaiyaa(N) Apne Begaane Sabhi Mujh Se Kinaare Ho Gaye Apni Kamli Ka Zara Saayaah Inaayat Ho Mujhe Dil Ke Dushman Ja, Muhammad Dil Se Pyaare Ho Gaye Sabz Ghumbad Ke Ishaare, Sagar Marhaba Jag Maga Kar Zindagi Ke Maah Paare Ho Gaye  

Jiss Ka Koii Saani Nahiin

Jiss ka koii saani nahiin wo Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hamara hai Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki azmat ka had hei na kinaara hai Jo habeeb-e-daawar hei jo makeen-e-khizra hai Sayyida (radi Allahu ‘anha) ka baba hai, Amina ka pyaara hai Aap ki hi chokhatt ke ya Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) bikaari hein Aap hi ke tukrron pe ya Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) guzaara hai Zor par ho tufaan bhi or ddagmaga-ai nayya bhi Aap gar karam kar dain to saamne kinaara hei Iss umeed par mein bhi aa kharra hun chokhatt par Wo kabhi to poochain ge kon gham ka maara hai Bhoole na niyaazi kabhi bhool kar bhi yaad-e-Nabi Un ko bhool jaana hi asal main khasaara hai  

Jitna Diya Sarkaar Ne mujh ko

Jitna diya Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ne mujh ko, utnii merii aukaat naheen Yeh to karaam hai inka warnaa, mujh mein toh aisi baat naheen Tu bhi wahi par jake jahaa par, sab kii bigaree bar’tee hai Aik terii takdeer banana, inke liye kuch baat naheen Jo hai merii jaan-o-imaan, kya mein unki nazar karun Paas meray ashko keh ilawa, aur ko’ii sow’ghaat naheen Ishq shahe bad’ha seh pehle, muflis-o-hasta haal thaa mey Naam-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) key mey qur’ban, ab woh meray haalat naheen Ghaur tuh kar Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki tujh par, kitnii haas inaayat hai Kausar tu hai inka sanahaan, Tahir tuh hai inka sanahaan, yeh ma’mulee baat naheen  

Ik Baar Madine Mein

Ik baar Madine mein, ho jaey mere jaana Phir aur na kuch maangein, sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka diwana Pal Pal mera dil tarpe, din raat kare zaaari kab aoun Madine? kab aey meri baari? kab ja ge main dekhoun ga, darbaar woh shahaana? Is aas par jiita houn, ik roz bulaey ge aur gunbad-e-khazra ka, didar karaein ge phir pesh karru gaa main, ashiqo bhara nazrana Ik baar Madine mein ho jaey mera jaana Bechain nighahon ko dedaar ‘ata kar do, Daman mera kuch owse yaa shah-e-ummam barh do Abad Khuda rakhe aaqa tera maikana Itni si tamana hai, ho jaey agar puuri jaane ko madina main, ho jaey jo manzuuri bin diide ki aey shaahan, mar jaey na diwana Ik baar Madina mein ho jaey mera jaana Phir aur na kuch maange, sarkaar ka diwaana  

Hayya ‘ala s-Salah, hayya ‘ala l-Falah

Dee Hazrath e Bilal ne Kabe se jab sada Hayya ‘ala s-Salah, hayya ‘ala l-Falah Irshade Kibriya hai yeh Farmane Mustafa Hayya ‘ala s-Salah, hayya ‘ala l-Falah Paida huwe Rasool to Rehmat baras padhi Thi Arsh se zameen talak Noor ki jhadi Daee Haleema Goud me lekar jo chal padhi Beeamar oonthni me ajab jaan padh gayee Baade saba ne jhoom ke kanaun me yoon kaha Hayya ‘ala s-Salah, hayya ‘ala l-Falah Arshe Baree par Rab ne Bulaya Huzoor ko Jibraeel aye aur Jagaya Huzoor ko Haq ki raza ka jaam peelaya Huzoor ko Chalne lage to Rab ne bataya Huzoor ko Ummat se jaake kehna yehi tohfa hai mila Hayya ‘ala s-Salah, hayya ‘ala l-Falah Islam ke Alam ko uthaya Hussain ne Baatil ke agay sar na jhukaya Hussain kya cheez hai Namaaz bataya Hussain ne Sajde me ...