Urdu

Khuda Ki Azmatain Kya Hay

Khuda ki azmatain kya hay, Muhammad Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jaanay, Maqaam-e-mustafa kya hay, Muhammad ka khuda jaan nay. Sadaa karnaa, mayray bass may tha, maynay tho sadaa kardee, Wo kya dayngay, may kya loon ga, saheeh jaanay, gadaa jaanay Mayri mittee madeenay shehar ki, rah-nay bichaa day na, Kahaan lay-jaati hay mujhko, madeenay ki hawaa jaanay. Qabar da khawf daynday thay maynoo lokee daronday nay, Par uthay sarkaar nay aana, qabar jaanay nabi jaanay. Kahaa jibreel-e-nay sidra, talak mayri rasaaee thi, Hay kithnee manzilain aa-gay, nabi jaanay khuda jaanay. Madeenay haazri ki maangthay, rehna dua yaaro, Asar hoga naheen hoga, nabi jaanay khuda jaanay, Mujhay tho sur-huroor hona hay, aaqa ki nigaahon may, Zamaanay ka hay kya naasir, buraa jaanay balaa jaanay &nb...

Nabi ka Uncha Naam Nabi Ka Unchaa Naam

Nabi ka Uncha Naam Nabi Ka Unchaa Naam Nabi ka Uncha Naam Nabi Ka Unchaa Naam Meri Kismat Jagane Ko Nabi ka naam Kaafi Hai Hazaron Gham Mitane Ko Nabi ka Naam Kaafi Hai Nabi ka Uncha Naam Nabi Ka Unchaa Naam Nabi ka Uncha Naam Nabi Ka Unchaa Naam Ghamon ki Dhoop Ho Ya Phir Hawayen Tez Chalti Hon Mere Iss Ashiyane Ko Nabi ka Naam Kaafi Hai Nabi ke Iss Deewane Ko Nabi Ka Naam Kaafi Hai Nabi ka Uncha Naam Nabi Ka Unchaa Naam Nabi ka Uncha Naam Nabi Ka Unchaa Naam Sulagti Aa’g Par Habshii ke Honton se Sada Aayi Meri Bigri Banane Ko Nabi ka Naam Kafi Hai Meri Bigri Banane Ko Nabi ka Naam Kafi Hai Nabi ka Uncha Naam Nabi Ka Unchaa Naam Khushi Ho Ya Koi Gham Ho Nabi Ka naam Leta Hon Khushi Ho Ya Koi Gham Ho Nabi Ka naam Leta Hon Ke Har ek Gham Mitane Ko Nabi ka Naam Kaafi Hai Jo Poocha Pyaa...

Ya Nabi Salaam Alaika

Ya Nabi Salaam Alaika, Ya Rasul Salaam Alaika, Ya Habib Salaam Alaika, Salawatullaah Alaika. Jashn-e-Milad un nabi hay, Noor ki chaadar tani hay, Roshani hi roshani hay, Har taraf yay doom machi hay. Ya Nabi Salaam Alaika, Ya Rasul Salaam Alaika, Ya Habib Salaam Alaika, Salawatullaah Alaika. Ya habeeb-e-rab-e-daawar, Azpa-ay Siddeeq-e-Akbar, Aur Umar Usmaan O Haydar, Chashmay baytar Do qalb-e-uzz par. Ya Nabi Salaam Alaika, Ya Rasul Salaam Alaika, Ya Habib Salaam Alaika, Salawatullaah Alaika. Rahmatal Lil Aalameena, Ho ataa aysa kareena, Daykh kar meetaa madina, Ishq-e-main patjaa ay seena. Ya Nabi Salaam Alaika, Ya Rasul Salaam Alaika, Ya Habib Salaam Alaika, Salawatullaah Alaika. Aakhari lamhay jab aa-ain, Kaash wo tashreef laa-ain, Apnay jalwon main gumaa-ain, Joom-e-kar ham gun gunaa-a...

Iss Karam Ka Karoon Shukr-e-Kaysay Adaa

Iss karam ka karoon shukr-e-kaysay adaa, Jo karam mujh pay mayray Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) nay kiyaa, May sajaata tha sarkaar-e-ki mehfilain, Mujhko har gham say Rabb nay baree kar diyaa. Lamha lamha hay mujh par nabi ki ataa, Dosto aur maangoo may maula say kya, Kya yay kam hay kay mayray khuda nay mujhay, Apnay mehboob ka ummati kar diyaa. Jo bhi aaya hay mehfil main sarkaar ki, Haazari mil gaee jiss ko darbaar-e-ki, Koee Siddeeq-e-farooq, usmaan huway, Aur kissee ko nabi nay ali kar diya Zikr-e-sarkaar ki hay bhari barkatain, Mil gaee raahatain, azmatain rif’atain, May gunahgaar tha, bay amal tha magar, Mustafa nay mujhay jannati kar diyaa. Mayray shaahay madina ki kya baat hay, Un ki dar say millee sab ko khairaat hay, Sadqay jaaon nay-yaazi main lajpaal kay, Har gada...

Nabi Ka Naam Kaafi Hai

Merey kismat jagaanay ko, Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka naam kaafi hay, Hazaaron gham mittaa nay ko, Nabi ka naam kaafi hay. Ghamo ki doop ho ya phir hawaa-ain tayz chaltee ho, Mayray iss aashiyaan nay ko, Nabi ka naam kaafi hay, Hazaaron gham mittaa nay ko, Nabi ka naam kaafi hay. Khushi ho ya koee gham ho, Nabi ka naam layta ho, Kay har ik gham bulaanay ko, Nabi ka naam kaafi hay, Hazaaron gham mittaa nay ko, Nabi ka naam kaafi hay. Nabi ka naam layta hoon, sukoon-e-qalb miltaa hay, Nabi kay iss deewaanay ko, Nabi ka naam kaafi hay, Hazaaron gham mittaa nay ko, Nabi ka naam kaafi hay. Jo poocha kamli waalay nay, kahaa siddeeq akbar nay, Mayray saaray garaanay ko, Nabi ka naam kaafi hay, Hazaaron gham mittaa nay ko, Nabi ka naam kaafi hay. Soolagti aag par habshi, kay hont...

Zaer-e-Koey Jinaah Ahista Chal

Zaer-e-Koay Jinaah Aahista Chal Dekh Aaya Hai Kahaan Aahista Chal Jaisay Jee Chahay Jahan Mein Ghoom Phir Ye Madina Hai Yahan Aahista Chal Baargah-e-Naaz Mein Aahista Bol Hoga Sab Kuch Rayegaan Aahista Chal Haazri Mein Hai Malak Sattar Hazaar Qudsiyon Ke Darmiyan Aahista Chal Dekhloon Jee Bhar Ke Sheher-e-Mustafa Mere Meer-e-Kaarwan Aahista Chal Jaliyon Ke Saamnay Jaldi Na Kar Woh Hai Naazish Meherbaan Aahista Chal  

Sahara Chaiye Sarkar Zindagi Ke Liye

Sahara Chahiyay Sarkar Zindagi Ke Liye Tarap Raha Hoon Madinay Ki Haazri Ke Liye Huzoor Aisa Koi Intizaam Ho Jaye Salaam Ke Liye Haazir Ghulam Ho Jaye Naseeb Walon Mein Mera Bhi Naam Ho Jaye Jo Zindagi Ki Madinay Mein Shaam Ho Jaye Mein Shaad Shaad Maronga Agar Dum-e-Aakhir Zubaan Pe Jaari Muhammad salla Llahu ‘alayhi wa sallam Ka Naam Ho Jaye Sahara Chahiyay Sarkar Zindagi Ke Liye Tarap Raha Hoon Madinay Ki Haazri Ke Liye Woh Bazm-e-Khaas Jo Darbaar-e-Aam Ho Jaye Umeed Hai Keh Hamara Salaam Ho Jaye Idher Bhi Ik Nigaah-e-Lutf-e-Aam Ho Jaye Ke Aashiqon Mein Hamara Bhi Naam Ho Jaye Tere Ghulam Ki Shaukat Jou Dekh Le Mehmood Abhi Ayaaz Ki Surat Ghulam ho Jaye Mein Qayal Aap Ke Rauzay Ka Hoon Woh Qayal Tur Kaleem Se Na Kissi Din Kalaam Ho Jaye Madinay Jaon Phir Aaon Dobara Phir Jaon Tama...

Taajdaare Haram Ae Shahanshaahe Deen

Taajdaare haram ae shahanshaahe deen aap pe hardam karooro duroodo salaam Ho nigahe karam hum pe sultan-e-deen Door reh kar na dam toot jae kahi Kaash taiba mein ae meri maahi mubeen Dafn hone ko mil jae do gaaz zameen Aap pe hardam karooro duroodo salaam… Koi husne amal paas mere nahi Phas na jau Qayamat mein mola kahi Ae shafiye umam laaj rakhna meri Aap pe hardam karooro duroodo salaam… Teri yaadon se mamuur sina rahe Samne mere har dam madina rahe Bas mein deewana ban jau sultaa-e-deen Phir bulalo madine mein attar ko Yeh tarapta hai tayba ke deedar ko Aur is ke siwa aarzoo hi nahi aap pe hardam karooron duroodo salaam Taajdaare haram a shahanshahe deen Aap pe hardam karooro duroodo salaam…  

Unki Mahak Ne Dil Ke Gujnche Khila Diya Hai

Unki Mahak Ne Dil Ki Gunche Khila Diye Hai Jis Raah Chal Diye Kunche Basa Diye Hai. Jab Aa Gayi Hai Joshe Rehmat Per Unki Ankhen Jalte Buja Diye Hai, Rote Hansa Diye Hai. Ek Dil Hamara Kya Hai, Aazaar Uska Kitna Tumne To Chalte Phirte Murde Jila Diye Hai. Unke Nisar Koi Kaisi Hi Ranj May Ho Jab Yaad Aa Gaye Hai Sab Gam Bhoola Diye Hai. Humse Faqir Bhi Abb Feri Ko Oothte To Honge, Abb To Gani Ke Dar Pe Bistar Jama Diye Hai. Asra May Guzre Jis Dam Baide Pe Qudsiyo Ke Hone Lagi Salami Parcham Jhooka Diye Hai. Aane Do Ya Doobo Do Abb TO Tumhari Jaanib Kasti Tumhi Pe Chhodi Lanagr Ootha Diye Hai. Dulha Se Itna Keh Do Pyare Sawari Roko Mushkil May Hai Baraati Purkhaar Wadiye Hai. Allah Kya Jahannam Abb Na Shard Hoga Ro Ro Ke Mustafa Ne Dariya Baha Diye Hai. Mere Karim Se Gar Khatra Kisi Ne Manga...

Zahe Muqaddar Huzur-e-Haq Se Payam Aay

Zahe muqaddar huzur-e-haq se salaam aaya payam aaya Jhukao nazreen bichao palkeen adab ka aala maqam aaya Yeh kon sar se kafan lapetey chala hai ulfat ke raatey par Farishtey hairat se tak rahe hain yeh kon zi ehteram aaya Faza mein labbaik ki sadain za farsh ta aarsh goonjhti hain Har ek qurban ho raha hai zaban pe yeh kis ka naam aaya Yeh rahe-haq hai sambhal ke chalna yahan hai manzil qadam qadam par Pohanchna dar par to kehna aaqa salaam lijiye ghulam aaya Yeh kehna aaqa bohat se aashiq taraptey se choor aaya hoon mein Bulawe ke muntazir hai lekin na subah aaya na sham aaya Dua jo nikli thi dil se aakhir palat ke maqbool ho ke aai Woh jazba jis mein tarap thi sachi woh jazba aakhir ko kaam aaya Khuda tera hafiz-o-nigehban o rahe batha ke jaane wale Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sa...

Hamd e Bari Ta-ala

Allah ho Allah Ho Allah Ho Allah Ho Qalb Ko Us Ki Royet ki Hey Arzoo Jis ka Jalwa Hey Alam Hey Har Char Soo Balky Khud Nafs Mey Hey Wo Subhana Ho Arsh Par Hey Magar Arsh Par Hey Magar Arsh Ko Justajo Allah Ho Allah Ho Allah Ho Allah Ho Arsh O Farsh O Zaman O Dehaq Aey Khuda Jis Taraf Dekhta Hoon Hey Jalwa Tera Zary Zary Ki Ankhon Mey Tu He Ziya Qatry Qatry Ki Tu He Tu Hey Abroo Allah Ho Allah Ho Allah Ho Allah Ho Allah Ho Tu Kise jaan ki Aur Harja Hey Tu Tu Munaza Muqam Sey Mubala Rasool Ilmo Qudrat Sey Har Jaah He Tu Ku Ba Ku Tery Jalway Hein Har Har Jaga Aey Haku Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu Naghma San Jany Gulshan Mey Charcha Tera Jab Chay Zikry Haq Key Hein Subho Masan Apni Apni Chahat Apni Apni Sada Sab Ka Matlab Hey Wahid Key Wahid Hey Tu Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu Ta...

Pegham Saba Laye Hai Gulzar-e-Nabi Se

Pegham saba laye hai gulzar-e-Nabi (Salla Llahu ‘alayhi wa sallam) se aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se her aah gaye arsh pe ye aah ki kismat her ashk pe aik khuld hai her ashk ki qeemat tohfa ye mila hai sarkar-e-Nabi se ayaa hai bulawa mujhe darbare-Nabi se darbare-Nabi se bhaati nahi humdum mujhe jannat ki jawaani sunta nahi zahid us mein hooron ki kahani ulfat hai mujhe sayaa-e-deewar-e-Nabi se ayaa hai bulawa mujhe darbare-Nabi se darbare-Nabi se irfan ki kasak khulq ki mai sabr ka saagar kiya lutf mila kerta hai jo dete hein sarwar ye pooch le aake koi beemar-e-Nabi se aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se darbar-e-Nabi se pegham saba laye hai gulzar-e-Nabi se aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se darbar-e-Nabi se pegham saba laye hai gulzar-e-Nabi se aaya hai bulawa muj...