huzoor aajiz nikamey aaye qabool howe salaam aqa (salla Llahu alayhi wa sallam) salaam do jag de taajdara salaam khayr ul anaam aqa naa maal o zar da na aqlaan shaqlan na aarzoo da tareeqa koi dobara aawan di aas le ke kharre ne dar te ghulaam aqa asan gunahgaar gandeya mandeya nun roz mahshar tera sahara ghulaman nun yaad rakhna aqa (jis dam pilao kausar de jaam aqa tere siwa teri baargah wich asan nikameyan nun koun jaane aethe jibril warge karde ghulamiyan subh o shaam aqa tere daware ton hath ke shaha sajjan nun mangan da wal nai aunda main aal teri da haan gadagar huzoor mangda nai aam aqa
Abhi jibril utre bhi na the kaabe ke mimbar se Ke itne mein sada aai yeh ‘Abdu Llah ke ghar se Abi-l-qasim Muhammad Mustafa tashrif le aye (sallalahu ‘alayhi wa sallam) Utho taazim ko mehboob-e-rabbul ‘alamin aye Farishton ki salami dene wali fauj gaati thi Janab-e-Amina sunti thin yeh awaaz ati thi
La ilaha illa Llah. Muhammad ar Rasula Llahi sallallahu tā’alā ‘alayhi wa sallam. Subhanaka ya Allāh, ta’ala layta ya Rahmān Ajirna min an-Nar, bi ‘afwika ya Rahman Subhanaka ya Rahīm, ta’ala layta ya Karīm Ajirna min an-Nar, bi ‘afwika ya Rahman Subhanaka ya Hamīd, ta’ala layta ya Hakīm Ajirna min an-Nar, bi ‘afwika ya Rahman Subhanaka ya Majīd, ta’ala layta ya Malīk Ajirna min an-Nar, bi ‘afwika ya Rahman Subhanaka ya Quddūs, ta’ala layta ya Salām Ajirna min an-Nar, bi ‘afwika ya Rahman Subhanaka ya Mumin, ta’ala layta ya Muhaymin Ajirna min an-Nar, bi ‘afwika ya Rahman Subhanaka ya ‘Azīz, ta’ala layta ya Jabbār Ajirna min an-Nar, bi ‘afwika ya Rahman Subhanaka ya Mutakabir, ta’ala...
Teri nahi misal koi Tu hai be misal Aey Rabb e Zul jalal Aey Rabb e Zul jalal Zarre ko aaftaab banana tera kamal Aey Rabb e Zul jalal hamd o sana Teri Tere mahboob ki karoun Tawfiq kar ata jiyoun main ya maroun Tere hi dhikre paak mein guzre yeh mah o saal Aey Rabb e Zul jalal aey Rabb e Zul jalal amada youn to mujh ko girane pe tha jahan lekin teri nigah e karam se aey mehrbaan na kaam ho gaey hain na kaam ho gaey hain mere dushmano ke chaal Aey Rabb e Zul jalal Ummat Tere Nabi ki bohat mushkilon hain Apas mein ikhtilaf, nafrat dilon hai Sadqe mein Mustafa ke Mawla inhe sambhal Aey Rabb e Zul jalal Teri koi misal nahi Tu hai be misal Aey Rabb e Zul jalal Aey Rabb e Zul jalal
Ya Taiba Ya Taiba Ya Dawal Aiyyaana Shtiknaa Lak Wilhawana Daana Wilhawana Daana Qalbay Aashiq dharak utha ik dam Jab chira tazkirah Madinay ka Ankh say ashq hogaye jari Jab chala qafilah Madinay ka Qafilah Madinay ka (chorus) Ho Ghumay Mustafa ata ya rabb Dard barhta rahay Madinay ka Door ranjo alam ho duniya kay Hum ko mil jaye gham Madinay ka Gham Madinay ka (chorus) Aik muddat say dil may armaa hai Jame deedar yaar pinay ka Mout gar aye teray qadmon may Lutf ajaae phir to jenay ka Phir to jenay ka (chorus) Sab ko aaka bulaengay aik din Izan mil jayega Madinay ka Apni ummat pay yu karam kardo Kaam hai na koi qareenay ka Na koi qareenay ka
Ya Ilaahi Har Jaga Teri Ataa Ka Saath Ho, Jub Pare Mushkil Sha’e Mushkil Kusha Ka Saath Ho. O Allah ! In every instance let me be blessed by Your Bounties, When I am in calamity, Let me be with the Eradicator of all calamities. Ya Ilaahi Bhool Jaun Naza’Ki Takleef Ko, Shaadiye deedare Husne Mustafa Ka Saath Ho. O Allah ! Let me not remember the difficulties of Death, When Blessed by the happiness of seeing the Holy Prophet. Ya Ilaahi Gor Teera Ki Jab Aaey Sakht Raat, Unke Pyaare Moonh Ki Subha Jaa Fiza Ka Saath Ho. O Allah ! When the night of darkness in the grave finally comes, Let it be brightened by the Prophet, Blessed Face which gives hope. Ya Ilaah Garmi-e-Mahshar Seh Jub Bharke Badan, Daaman-e-Mahboob Ki Thandi Hawaa Ka Saath Ho. O Allah ! When our bodies burn up in the heat of the ...
Tu chahe jise dey de Mehboob teri marzi (Ya Rasulallah, ya Habiballah salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Mukhtar banaya hai Tujhe apne khazanon ka Jis jis ko Pilai hai Mere Aqa ke ankhon se Voh bhul gaya rasta harr ik maikhane ka Kuch aisi pila dalo, Murshid Beykhud bana dalo Jo dekhe kahe mujhko Yeh hai mera diwana Bhar bhar ke pilaya hai mastanon ko ey Murshid Us jaam ke kuch qatrey Mujh ko bhi pila jana hai – Tu chum ley kalion ko Kafuri honton se Andaz sikhaya hai Khud Rab ne jagane ka Ik parda uthao na, ya Rasulallah Ik jalwa dikhao na Is shauqe mohabbat ne Harr raat jagaya hai
Tere karam ke agey Meri zaat kuch nahi hai Tu hai karam ka data Tere darr pey chandni hai Tera darr hai mera kaba Tera kucha Meri jannat Tere chehre ki tilawat Aqa Mera hajje akbari hai Tere naam se ey murshid mujhe janti hai dunya Tere naam ki badolat Murshid Mera kaam chal raha hai Meri laaj rakhne wale Meri laaj ko nibhana Teri ik nazar ke sadqey Murshid Meri baat ban gayi hai Kahan teri shaan aali Kahan mujhsa yeh sawali Mujhe Dard dene wale, Aqa Teri banda parwari hai Tere naam ne ata ki Hai bheek Mustafa ki Isi bheek per O saifi Tera naam chal raha hai Ishqe Nabi mein barsen Pal pal unhi ko tarsen Rehna faqat unhi ka bimaar chahti hai Kya shan beyniazi haq ne Tujhe ata ki Tere darr ka jo bhikari Dunya ka Voh wali hai ——- Tu chahe jise dey de Mehboob teri marzi (Ya Rasulal...
Sarkar yun laga hai Tujhe dekhne baad Allah ko Pa liya hai Tujhe dekhne ke baad Dunya ki bheer mein kahin gum ho Gaya tha Apna pata chala hai Tujhe dekhne ke baad Husne jahan hai Garche hasin se hasin tarr Nazron mein kab jacha hai Tujhe dekhne ke baad Aya jo teri bazm e mohabbat mein eik baar Tera hi ho Gaya hai Tujhe dekhne ke baad Dil hai keh manta hi nahi ab kisi ki baat Deewana ho Gaya hai Tujhe dekhne k baad Aisa hasin aisa nahi koi khoob Ruh Dil ne mujhe kaha hai Tujhe dekhne ke baad Bhule se bhi na jaunga kisi Ghaur ki taraf Yh mera faisla hai Tujhe dekhne ke baad
Nahi ha koi Dunya mein hamara Ya Rasulallah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Hamein to Aap hi ka hai Sahara ya rasulallah Talatum khez hai darya bhanvar mein hai Meri kashti Nazar ata nahi koi kinara ya Rasulallah Tarapta hai mera dil aur tarapti hain bohot ankhein Bula lo ab Madine mein dobara ya Rasulallah Faqat amaal ke badle na paega koi jannat Na hoga Aap ka jab tak ishara ya Rasulallah Dame akhir Zara mushtaq per itna karam karna Nazar iski aur jalwa ho tumhara ya Rasulallah Haqiqat mein bohot barh kar ke hai arshe moalla se Zameen jis per ho naqshe Pa tumhara ya Rasulallah
Mohjza mere Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka Keh diya toh ho gaya Ap ne qatre ko dariya Keh diya toh ho gaya Mohjza mere nabi ka Keh diya toh ho gaya Haat me talwar lekar Aaye jab hazrat umar Aa mere daman me aaja Keh diya toh hogaya Mohjza mere nabi ka Keh diya toh ho gaya Aap dida the ba waqte Asre jab hazrat ali Dube suraj ko nikalja Keh diya toh ho gaya Mohjza mere nabi ka Keh diya toh ho gaya Masjid e Nabavi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) me ghar se Aap ke mimbar talak Aap ne jannat ka tukda Keh diya toh ho gaya Mohjza mere nabi ka Keh diya toh ho gaya Mustafa ko hai Khuda se Pyaar kitna dekhiye Khana e kaaba ko qibla Keh diya toh ho gaya Mohjza mere nabi ka Keh diya toh ho gaya Naam lekar Mustafa ka Haat me lekar kalam Mai ne ajmal ek qasida Keh diya toh ho gaya M...
Main to khud Unke dar ka gada hoon, Apne Aqa ko main nazr kya doon. Ab to aankhon mein bhi kuch nahi hai, Warna qadmon mein ankhein bicha doon. Aane wali hai unki sawari, Phool naaton ke ghar ghar saja doon. Mere ghar mein andhera bohot hai, Apni palkon pe shamme jala doon. Rauza-e-paak pesh-e-nazar hai, Samne mere Aqa ka darr hai. Mujhko kya kuch nazar aa raha hai, Tumko lafzon mein kaise bata doon. Mere aansu bahut qeemti hain, Inse wabasta hai unki yaadein. Inki manzil hai khak-e-madina, Ye gohar yun hi kaise luta doon. Main faqat Aap ko jaanta hoon, Aur isi dar ko pehchanta hoon. Is andhere mein kisko pukaroon, Aap farmaen kisko sada doon. Qaafilay jaa rahe hain Madine, Aur hasrat se main tak raha hoon. Ya lipat jaun qadmon se unke, Ya qaza ko main apni sada doon. Meri bakhshish ka sam...