Islamic Lyrics

Ya Mustafa ataa ho phir izn haazri ka

Ya Mustafa ataa ho phir izn haazri ka Karloon nazaara aakar phir aap ki gali ka Ik baar phir dekhaado Ramzaan mein Madina Beshak banalo Aaqa mehmaan do ghari ka Rota huwa phiraa-oon daaghe jigar dekhaa-oon Afsana bhi sunaa-oon main apni be-kasi ka Phir sabz, sabz gumbad ki dekhloon bahaarein Ab izn dedo Aaqa phir mujhko haazri ka Ya Mustafa gunaahon ki aadate nikal jaa-en Jazbah mujhe ata ho sunnat ki payrwi ka Allah hubbe duniya se tu mujhe bachana Saa-il hoon Ya Khuda main Ishqe Muhammadi ka Imaan pe Rabbe rahmat dede tu istiqamat Dede hoon waasta main tujhko tere Nabi ka Ulfat ki bheek dedo deta hoon waasta main Siddeeq ka, Umar ka, Usmaan ka, Ali ka Duniya ke taajdaaron tumse mujhe gharaz kiya Mangta hoon main tu mangta Sarkaar ki gali ka Meezaan pe sab khare hain a’amaal tul rahe hain...

Ya Nabi salam ‘alayka (urdu-arabic mix)

Tala al-Badru ‘alayna min thani aatil wada wajaba sh-shukru ‘alayna mada aa lil lahi da’a’i Ya Nabi salam ‘alayka Ya Rasul salam ‘alayka Ya Habib salam ‘alayka salawatuLlah ‘alayka Aap ka tashreef lana waqt bhi kitna suhana jagma utha zamana poore gaatihi tarana Ya Nabi salam ‘alayka Ya Rasul salam ‘alayka Ya Habib salam ‘alayka salawatu Llah ‘alayka Katra katra darya darya dharra dharra tara tara jab hua Sarkar paida Sara aalam kah raha tha Ya Nabi salam ‘alayka Ya Rasul salam ‘alayka Ya Habib salam ‘alayka salawatu Llah ‘alayka Itna karam shahe zaman ho khali rooh se badan ho Aap ke shahr ka kafan aur Madine mein dafan ho Ya Nabi salam ‘alayka Ya Rasul salam ‘alayka Ya Habib salam ...

sarkar ke hum deewane hain

sarkar ke hum deewane hain sarkar ke hum kehlate hain sarkar ka sadqa peete hain sarkar ka saqda khate hain jab mauj mein woh aa jate hain bigdhi sab ki ban jati hai jab un ka karam ho jata hai bin mangton ke phir hi jate hain yeh un ki nigahein rahmat hain yeh maal-o-zar ki baat nahin bas wohi madine jaate hain sarkar jinhein bulwate hain kya khoob suhana mausam tha jibril manadi karte the tashreef Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) latein hain tashreef Muhammad latein hain lajpaal madine wale ke andaaz sakhawat kya kehna dunya ke shahanshah is dar par ban ban ke bhikari aate hain

Meri ulfat Madine se youn hi nahi

Meri ulfat Madine se youn hi nahi Mere aaqa ka rouza Madine mein hai Mein Madine ki jaanib na kaise khinchu mera deen aur dunya madine mein hai arsh e azam se jis ki barri shaan hai roza e mustafa jis ki pehchaan hai jis ka humpalla koi muhalla nahi eik aisa muhalla Madine mein hai phir mujhe maut ka koi khatra na ho maut kya zindagi ki bhi parwa na ho kaash sarkar eik baar mujh se kahein ab tera marna jeena Madine mein hai Sarware do jahaa se dua hai meri Han bado chashmey tar ilteja hai meri Un ki feh-rist mein mera bhi naam ho Jinn ka roz ana jaana Madine mein hai jab nazar sue taiba rawana hui saath dil bhi gaya saath jaan bhi gai main muneer ab rahoon ga yahan kis liye mera saara asasa Madine mein hai   … “lam yaati nazeero kafi nazarin”

Main so jaoun ya Mustafa kehte kehte hain

Main so jaoun Ya Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kehtey kehtey Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey Sitam pay Sitam seh gaey dushmano kay Habeeb-e-Khuda, Ya Khuda kehtey kehtey Main so jaoun Ya Mustafa kehtey kehtey Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey Guzarte thay kaantey bharrey raasto say Rasul-e-Khuda, Marhaba kehtey kehte Main so jaoun Ya Mustafa kehtey kehtey Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey Huwey surkhuru Aap her maarkey may Faqat Rabbana, Rabbana kehtey kehtey Main so jaoun Ya Mustafa kehtey kehtey Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey Shahe her do Aalam ne naam-e-jabee say Bhara paet shukrey Khuda kehtey kehtey Main so jaoun Ya Mustafa kehtey kehtey Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey Andheiroo may ham ne kiya hay ujaala Aqeedat sey Noor-ul-Huda kehtey ...

Madine diyan paak galliyan

Saare jag nalo lagdiyaan changiya Madine diyaan paak galiyan Raayan mehek jeevey, jannat diyaan kaliyaan Madiney diya paak galiyaan Saaaarey jag nalo lagdiyaan changiya Madiney diyan paak galiyaan Ena galiyaan tho tanman vaariye, Kariye sajdey, te shukar guzariye Ethe noor diyaan suchiyaan ne thaliyaan Madiney diyan paak galiyaan Saarey… Ena Galiyaanch raya sona pirda sanu vekhne da chaa bar chirda Ethey lagiyaan mere Nabi diyan taliyaan Madiney diyaan paak galiyaan Saarey…. Abrey rehmatan de sada othey vasdey Jaandey rondey te aandey ne hasdey Ral vekhne nu saayan ne chaliyaan Madiney diyaan paak galiyaan Sare.. Ena galiyaan nu jerey vekhandey othey Jannata nu hain pool jaandey Tar geyn jinna ne tak layan Madiney diyaan paak galiyaan Tar geyn jinna ne tak layan Madiney diyaan paak galiyaa...

Madine se bulawa aa raha hai

Madine se bulawa aa raha hai mera dil mujh se pehle ja raha hai shab-e-furqat se dil ghabra raha hai Madina aap ka yaad aa raha hai yahan marzi nahi chalti kisi ki Madine wala hi bulwa raha ajab hain sabz gumbad ke nazare nigahon ko khuda yaad aa raha hai nawason ka woh sadqah bant te hai zamana unka sadqah kha raha hai mera dil bhi tu apne saath le jaa akela kyoun madine ja raha hai bulaein ge tujhe bhi sarwar-e-deen dil-e-mahmood kyoun ghabra raha hai

Konain De Wali Da Darbar Bara Sohna

Konain De Wali Da Darbar Bara Sohna So Rab Di Madine Da Darbaar Baraa Sohna Duniya Diya Safaran Toh Banda Thak Vi Teh Jaanda Ey Par Safar Madinay Da Har Baar Baraa Sohna Sab Rastey Madinay Dey Sanu Jaan Toh Vadh Pyaarey Jeraa Roze Nu Jaanda ey Bazaar Baraa Sohna Mujhe Masjid-E-Nabvi Di Har Cheez Bari Sohni Jeraa Roze Dey Naal Jureya Minaar Baraa Sohna Sadiq, Umar, Usman, Haider Toh Mey Vaari Jaa Meray Sohne Sohne Aqa Da Har Yaar Baraa Sohna Wekho Na Zahoori Nu Nisbat Nu Zaraa Wekho Main kohja haan Par Meraa Ghumkhwar Baraa Sohna Konain Dey Waali Da Darbaar Baraa Sohna So Rab Di Madinay Da Darbaar Baraa Sohna

Madina mein jo guzra hai

Madina mein jo guzra hai zamaana ya Rasoolallah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hame wo yaad aata hai rozana ya Rasoolallah subha howe ke shaam howe qabr howe hashr howe teri main naat da gaavan tarana ya Rasoolallah Khuda farmanda eh tenu vich qur’aan de sohna arsh tera farsh tera Deewana ya Rasoolallah aey saari baadshai odi khuda oda khudai odi teri nazraa da howe jo nishaana ya Rasoolallah kadi te jaam mil jaave tere maazagh naina to mera wee khaali bhar jaave paymaana ya Rasoolallah mera aziz duniya te siva tere nahi koi meri jind jaan hai tera gharana ya Rasoolallah Hashr me jo bacha dega ali akbar ko jalne se tera hee naam hai mera bahaana ya Rasoolallah

Teri hamd hai Teri Sana

Teri hamd hai teri sana Lailaha Illalallah Lailaha Illalallah Dhadkan dhadkan wird tera Lailaha Illalallah Lailaha Illalallah Jo tauhid ka nagma hai Har dam gunjata rehta hai Koi shareek nahin tera Lailaha Illalallah Lailaha Illalallah Alam alam sub’ho masa Tere aage sar hai juka Beshak tu hai sab se bada Lailaha Illalallah Lailaha Illalallah Zaat hai teri hi be-ay’eb Tuj par imaan hai bil-gayb Sab se afzal hai kalema Lailaha Illalallah Lailaha Illalallah

Tu nawazne pe aye

Allah Allah Allah Allah Allah Allah Tu nawazne pe aaye to nawaz de zamane… Tu kareem hi jo thehra to karam k kya thikane… Tu afw h maaf frma ay Raheem reham farma… Dhunde h teri rehmat bakhshish k soo bahane… Tu benishan nhi h sb me nishan tera… Subh k hon ujale ya sham k fasane… Mere doobne me baqi na koi kmi rhi thi… Kaha almadad khudhaya to ubhar gya safeena… Tu hi awwal tu hi aakhir yu hi zahir tu hi batin… Tu azeem h itna teri shan k kya kehne…

Teri hamd o sana mein

Teri hamd o sana mein Mehv hai yeh jahan tera Teri hamd o sana mein Mehv hai yeh jahan tera Khudaya behr o bar Tere Zameen o Asmaan Tera Allahu Allahu, Allahu Allahu Labon par aagaey hoya zuban jo keh nahi paye ke dil ki baat bhi tujh se chupi Mawla na reh payi Teri qudrat samajh paye teri qudrat samajh paye bhala banda kahan Tera Allahu Allahu, Allahu Allahu Gawahi ke liye Teri, Nabi aur awliya aey Badal daale muqaddar be kason ke zare chamkaey Karam ham par raha har dam Karam ham par raha har dam Khuda aey mehrbaan Tera Teri hamd o sana mein mehv hai yeh jahan tera Khudaya behr o bar Tere Zameen o asmaan Tera Allahu Allahu